Back to feed
D
Diya Verma Life · English · Life

Ta-umr saath nibhane ka vaada kiye.. Do pal ka saath nibha kar chal diye.. Garib ki mohabbat raas na aayi unko huzoor.. Ameeri me pale badhe the unka na tha koi kusoor.. Sach kehte hain pyaar andha hota hai.. Bhool gaye the ki aaj kal pyaar soch samajh ke hota hai.. Socha samjha pyaar hum kar nahi sakte.. Jo ek baar kar liya pyaar usse mukar nahi sakte.. Dil se di dua wo jahaan rahe khush rahe.. Toota hua dil liye hum khamosh rahe.. Yaaron ne kaha waqt har yaad mita deta hai.. Humne poocha.. Zehan se nikalne wali yaad to theek par kya saanson me basne wali yaad bhi mita deta hai?? Doston ne kaha Teri wafa ki na ho kadar usko saanson me kyun rakhna ?? Humne kaha jo inaam me Bewafaa ka khitab unho ne diya hai mujhe unhe de dega koi warna..

161 likes 22 shares
WhatsApp