कोई फ़रियाद तेरे दिल में दबी हो जैसे तूने आँखों से कोई बात कही हो जैसे जागते जागते इक उम्र कटी हो जैसे जान बाकी है मगर साँस रूकी हो जैसे जानता हूँ आपको सहारे की ज़रूरत नहीं मैं तो सिर्फ़ साथ देने आया हूँ हर मुलाक़ात पे महसूस यही होता है मुझसे कुछ तेरी नज़र पूछ रही हो जैसे राह चलते हुए अक्सर ये गुमां होता है वो नज़र छुप के मुझे देख रही हो जैसे एक लम्हे में सिमट आया है सदियों का सफ़र ज़िंदगी तेज़ बहुत तेज़ चली हो जैसे इस तरह पहरों तुझे सोचता रहता हूँ मैं मेरी हर साँस तेरे नाम लिखी हो जैसे ..................................................... Koi fariyaad tere dil mein dabi ho jaise Tune aankhon se koyi baat kahi ho jaise Jaagte jaagte ek umr kati ho jaise Jaan baaki hai magar saans ruki ho jaise Jaanta hoon aapko sahare ki zarurat nahin Main sirf saath dene aaya hoon Har mulaakat pe mehsoos yehi hota hai Mujhse kuch teri nazar pooch rahi ho jaise Raah chalte huye aksar ye ghumaan hota hai Wo nazar chupke mujhe dekh rahi ho jaise Ek lamhe mein simat aaya hai sadiyon ka safar Zindagi tez bahut tez chali ho jaise Is tarah pehron tujhe sochta rehta hoon main Meri har saans tere naam likhi ho jaise
74 likes
73 shares