तुम नहीं ग़म नहीं शराब नहीं ऐसी तन्हाई का जवाब नहीं गाहे-गाहे इसे पढ़ा कीजे दिल से बेहतर कोई किताब नहीं (गाहे-गाहे = कभी कभी) जिसको तूने न आज़माया हो वो कहीं पर भी कामयाब नहीं जाने किस किस की मौत आयी है आज रुख़ पे कोई नक़ाब नहीं वो करम उँगलियों पे गिनते हैं ज़ुल्म का जिनके कुछ हिसाब नहीं ............................................... Tum nahi gham nahi sharaab nahi Aisi tanhaayee ka jawaab nahin Gaahe-gaahe ise padha keeje Dil se behtar koi kitaab nahin Jisko toone na aazmaaya ho Wo kahin par bhi kaamyaab nahi Jaane kis kis ki maut aayeee hai Aaj rukh pe koi naqaab nahin Wo karam ungliyon pe ginte hain Zulm ka jinke kuch hisaab nahin
136 likes
47 shares