तेरे आने की जब ख़बर महके तेरी ख़ुशबू से सारा घर महके शाम महके तेरे तसव्वुर से शाम के बाद फिर सहर महके रात भर सोचता रहा तुझको ज़हन-ओ-दिल मेरे रात भर महके याद आए तो दिल मुनव्वर हो दीद हो जाए तो नज़र महके वो घड़ी दो घड़ी जहाँ बैठे वो ज़मीं महके वो शजर महके ......................................................... Tere aane ki jab khabar mehke Teri khushboo se saara ghar mehke Shaam mehke tere tasavvur se Shaam ke baad fir saher mehke Raat bhar sochta raha tujhko Zehan-o-dil mere raat bhar mehke Yaad aaye to dil munnawar ho Deed ho jaaye to nazar mehke Wo ghadi do ghadi jahaan baithe Wo zamin mehke wo shajer mehke
178 likes
63 shares